Us shaam vo rukhsat kaa samaan yaad rahegaa
Vo shahar vo kuchaa vo makaan yaad rahegaa
Vo tes ki ubharii thii idhar yaad rahegii
Vo dard ke utha tha yahan yaad rahegaa
Ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
Vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa
Kuch miir ke abyaat the kuch faiz ke misare
Ik dard kaa thaa jin men bayaan yaad rahegaa
Jaan bakhsh sii thii us gul-barg kii taraavaat
Vo lams-e-aziiz- e-do-jahaan yaad rahegaa
Ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
Tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

Wah, Bohat Khoob
ReplyDeleteThank you for sahre.
sach me accha ha thanx you for sharing.
ReplyDelete